Andhi mohabbat part-2

Recap~jab aleeza uzair ki mohabbat ke proposal ko thukra deti hai toh uzair usay apni ankhein khatm karne ki dhamki deta hai.....
'''ab aage'''
Uzair ki baat sun aleeza dar jati hai....usay nahi pata tha ki uzair usse itni shadeed mohabbat karta hai....
Aleeza~please uzair tumhari us mohabbat ka waasta hai....koi aisa qadam mat uthana warna mai jeetay jee mar jaungi.
Uzair~nahi uthaunga...pehle tum mere sar ki kasam khao ki tmhe meri mohabbat qubool hai...
Aleeza~han uzair mujhe tumhari andhi mohabbat qubool hai...qubool hai...qubool hai....
Aleeza ki baat sun uzair muskura deta hai...aleeza ne toh uski mohabbat qubool kar ke usay khushi de di thi ab baari uzair ki thi...wo bhi uski zindagi khushiyon se bhar dena chahta tha..
Uzair ne sabse pehle aleeza ki ankhon ka ilaaj karwaya aur khuch hi mahino me uski ankhein ekdum thek ho gayin thin..
Usne pehli baar khud ko aur dusre insano ko dekha tha warna sabko wo sirf awaz se pehchana karti thi...
Usay lag raha tha wo itne saalon se kisi andhi gufaa me qaid thi aur aj uzair ne usay wahan se azaad kar diya..
Honeymoon ke liye wo singapore ja rahe thay...wahan jane se pehle aleeza sana se milne aa gayi thi...
Sana usay dekhte hi uske gale se lag gayi aur phir darul uloom ki owner ne aleeza ki nazar utari...
Sana~mai kehti thi na aleeza...
Hame hamare rab se hamesha ache ki ummeed rakhni chaiye...Allah ki zaat hame kbhi mayus nahi karti..
Aleeza~han sana tum thek kehti ho....Allah ke ghar dair hai par andher nahi...
Maine kabhi socha bhi nahi tha uzair jaisa smart well qualified banda meri zindagi me ayega...usne meri zindagi ko raushan kar diya hai...
Sana~han ye tumhari khushqismati hai...uzair ko hamesha bahot mohabbat dena....
Aur aleeza muskura deti hai....sabse milkar wo singapore ke liye nikal jate hai...
Ye safar uski zindagi ka pehla aur bahot khoobsurat safar tha...
Singapore bahot khoobsurat tha...aur uzair ka sath paker usay wo aur bhi khoobsurat lag raha tha...
Wo ''RAFFLES HOTEL'' me thehre thay jo singapore ke best hotels me se ek tha..
Aur singapore ki ''Masjid sultan'' bhi apne ap me ek misal thi...
Art gallery dekhne ke baad wo dono ''Art science museum'' me aa gaye thay...Aleeza ko yakeen nahi aa raha tha ye sab bhi isi duniya ka hissa hai...
Wahan se nikalte nikalte wo thak gai thi...bahar nikal kar wo qareebi park me baith jati hai...uzair bhi uske qareeb hi baith jata hai...
Aleeza paas hi se ek black rose todti hai aur uzair ki taraf badha deti hai...
''uzair tmhe pata hai..kuch din pehle tak mai ek cactus ka plant thi par tmhari mohabbat ne mujhe ek gulaab bana dia''
Meri zindagi ke sare andhere tmne mita diye...dekho ab charo taraf raushni hi raushni hai....I love you uzair...mai tmhe behad mohabbat karti hu...aur hamesha karti rahungi...
Mai bhi tmse bohat mohabbat karta hu aur sari zindagi yunhi karta rahunga...mai bhi tumhare bina ekdum adhura tha tmhari moujoodgi tmhare sath ne mujhe mukammal kar diya hai...aur wo usay gale se laga leta hai.....
''Mohabbat rooh se hoti hai....waqt ke sath ye hamare dil aur rooh ki har darodeewar me bas si jati hai...jism ka koi hissa kharb ho jaye to b kya fark padta hai...mohabbat hamesha zinda rehti hai''
''The end''

Comments

Popular Posts