Andhi Mohabbat part-1

Aleeza aur uzair ki choti si mulaakat dosti ke raaste se hokar kab mohabbat ki manzil par pahunch gayi...unhe pata hi nahi chala...
Pehle to Aleeza isay mahaz attraction samajh kar taalti rahi par jab usay ehsaas hua ki usay mohabbat ho gayi hai...Toh wo is khushnuma jazwe(feeling) se darne lagi......
Sana aksar usay uzair ke name se chairne lagi...aur uzair ka name sunte hi aleeza ke chehre par mohabbat aur sharm ke hazaro rang bikhar jate....jisse sana ko aur yakeen aa jata ki wo mohabbat me hai.
Roaz ki tarah aj phir Aleeza 6 bajte hi park pahunch gayi thi...sana usay chorkar wapis chali gayi thi...wapsi me uzair usay chor deta...
Roz ke ulat apni bato se uzair aj usay
kuch chup chup sa laga tha...
Aur phir uske sawal ne aleeza ko chaunka diya...
Uzair~aleeza tumne kabhi kisi se mohabbat ki hai...
Uske sawal se ek pal ko aleeza ko aisa lagta hai ki uska dil ki dhadkano ki kisi ne speed badha di ho...aur phir bhi wo khud par qaboo rakhte hue boli...
Aleeza~yaar koi aur baat karo...aur waise bhi mujh jaisi ladki se andhi mohabbat kaun karega...
Uzair~aleeza koi hai jo tumse bepanah mohabbat karta hai aur shayad tmhare liye apni jaan bhi de sakta hai...
Aleeza uski baat sunkar chup si ho jati hai usay pata tha wo aur koi nahi uzair hi hai.....
Uzair~aleeza kya tum janna nahi chahti wo kaun hai...
Aleeza~nahi mujhe kuch nahi janna...aur wo uthkar jane lagi...tabi uska pair ladkhada gaya...par uzair ne usay girne se pehle hi sambhal lia..
Dekha uzair mai toh do qadam bina ladkhadaye nahi chal sakti....kaun karna chahega mujhse pyar....kaun karna chahega mujhse shadi...
Uzair~tumne sirf apna ladkhadana dekha aleeza....mera sambhalna nahi dikha...agar mai tmhare sath hounga tumhe kabhi girne nahi dunga...
Aleeza~tumhari ye mohabbat bahot jald thakan aur bezari me tabdeel ho jayegi uzair....guzarte saalon ke sath tmhari mohabbat kam hoti jayegi aur phir ek waqt ayega jab khatm ho jayegi...
Uzair~mohabbat deewar par laga hua calender nahi hoti jo guzarte saalon ke sath badal jaye...mohabbat to ankhon me jalne wale diye ki tarah hoti hai jo hamesha raushan rehti hai...
Aleeza~uzair tum samajh kyn nahi rahe...mere diye toh raushani se khali hai...ye tumhari zindagi raushan karne ke bajaye andheron se bhar denge..
Uzair uski baat sun gusse me aa jata hai....agar hamari mohabbat ke beech tmhari ankhein a rahi hain toh mai in ankhon ko hi khatm kar dunga....
To be continued.....

Comments

Popular Posts